Thoda Rukh idhr bhi kariye, baitha hai koi apke intezaar me
Itna bhi kya rukhsat hona, itni bhi kya mashrufiyat..
Thoda zikr hamara bhi ho, do batein hum bhi krein,
thodi khwahish hai guft-gu ki,
Aap aayenge humare paas bhi ek waqt lekar, baitha h koi iss iqrar mein!!
Yun to ek pal bhi sadiyon sa lgta h apke intezar mein,
Baithe rehte h hum raah nihare, kabhi aayenge aap paas humare
Fir aapke aane se, ek arsa bhi nikl jata h apse taqraar me..!!
Uff ye kambakkht raat kaise guzregi
Ab to bss ye tere khayalo se milegi
In bebas ankhon ka kya kasur, ye to bs ab tere didar ko tarsengi..
Ye nind bhi ab to mujhse ye keh ke chli gyi ki.
Jis awaz ko sun ke hum aate h, aaj wo nhi suni, to humari tumhari aaj baat nhi banegi
Aapke sath waqt kaise gujra khabar na rehti h kuch
Hrr baar adhura sa reh jata h kuch n kuch!
Main chahta hoon tumse bolu kuch na kuch!
Prr ye kambakkht kabhi pura hi nhi hota h, jise kehte h kuch na kuch.!!
~Rk
Responses